Search This Website

19 June 2017

Mobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare (2 software & 2 app)

Mobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare (2 software & 2 app) 

Agar aapke mobile me koi important photo thi, jo aapne delete kar dii ya galti se delete ho gayi hai aur aap usse mobile me vapis lana chahte ho to  aap aasani se la skte ho .


Yaha par me jo tarika batane wala hu , wo android phone ki application hai . jiski madad se aap apne mobile me delete huyi photo aur video ko aasani se vapis la skte ho .

Ham yaha par 2 softwre aur 2 application  hai , jiske jariye aap apne mobile ki photo aur video ko aasani se vapis la skte ho .  to chaliye friends sabse pahle mobile application se suru karte hai ki Mobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare .  
deleted-photo-recover
Mobile Me Deleted Photo Ko Recover Kaise Kare (2 software & 2 app) 

Application 1:-  DiskDigger Photo Recovery 

DiskDigger-Photo-Recovery
DiskDigger Photo Recovery

Ye application ki khaas bat ye hai ki agar  aap 1 sal pahele ki photo vapis lana chahate ho to , iss application ki madad se la skte ho .aur ye application bina root wale mobile  me bhi chal skti hai. chaliye dekh lete hai ki kya karna hai.

Step 1:- sabse pahle aap play store me jakar   DiskDigger Photo Recovery application search karke install kijiye . agar aapko na mile to aap yaha se bhi download kar skte ho . 

Step 2:-ab aap application ko open kijiye . waha par aapko Start Basic Photo Scan par click kijiye .

Step 3:- ab aapke mobile ki scanning chalu ho jayegi , agar aap chahe to usse stop bhi kar skte hai .

Step 4 :-  agar aapko scanning ke bich me aapni koi photo recover karni hai , aap stop  krke . uss  photos ko select karke recover  par click kijiye .

Step 5:- ab aapko samne kuch option honge , waha aap device par click kijiye . aapki image phone me save ho jayegi . aap   chahe to online bhi save kar skte ho .

Agar aapke mobile me image aur video ke aalava koii dusri file jese ki document , songs  ko save karna chahate ho to , aap iss application pro version uj (use) kar skte ho.

Wese to ye application aapke mobile me jarur work karegi , agar tabhi  koi problem aaye to aapDumpster Photo & Video Restore     ko try kar kste ho .


Application 2:-  Restore image (super easy ) 
restore-image
restore image

Friends, iss application ki khaas baat ye hai ki ye application special photo ko recover karne ke liye banai gayi hai .

Step 1 :- sabse pahle aap Google Play Store se Restore image naam ki aaplication ko download kijiye.Agar aapko ye application na mile to aap yaha se bhi downloadkar skte ho . 

Step 2:- ab aap iss application ko apne smart phone me install karke open kijiye .

Step 3:- ab aap Search the image you want to Restore  par click kijiye . ab ye application aapke mobile ko sacn karega . aapke photos jitne MB  aur jitni jyda photo  hogi , utna  jyada time lagega .

Step 4 :- scan complete hone ke baad jis bhi file ko aap Restore karna chahate ho , usse simply select kar ke restore kar do .    

Friends , ye thi mobile ki application jise aap photo ko recover kar skte hai .  ab bat karte hai , software ki  jo aapko apne computer me install karni hogi .  

software  1:-  EaseUs  MobiSaver 

 iss softwae ki   khas baat ye hai , ye software  free aur paid ( $ 40 ) dono version me milati  hai. aap abhi free version ka istmal kijiye .  to chaliye jante hai kese uj (use ) kar iss application ko .

1.  sabse pahle aap  EaseUs MobiSaver   data recovery software ko apne computer me  download kar kijiye .

2.  ab aap apna mobile computer me USB cable se connect karo .

3. uske baad aapke smart phone    ki setting me jakar  about phone par click karo .

4.  yaha par aapko build number  par lagatar  6 - 7  baar  click kijiye . 

5. uske baad  vapis aap setting me jaiye . waha par aapko “ developers on” ka option hoga.  Uss par click karke aap  phone me dibging ko on kare .

6.ab jese  hi aapka mobile computer me connect hoga, aapko kuch message show karega . is message par ok par click kare .

7. jese hi aapka mobile data recovery se connect hoga , aapke mobile ka sabhi data dikhakar puchega ki aap kon konse document ko recover karn chahate ho .  aap job hi recover karna chahate hai , uss par click kijiye .

8. ab aapka data recover karna suru kar dega .  usme kitna time lagega wo , aapke data  size par depend  karta hai.


Software 2:-  asoftech

Dosto ,   aapko ye software  www.asoftech.com  par mil jayega. Lekin aap  yaha se   bhi download   kar skte hai .Waha se download karke computer me  install  kar skte   hai .  iske baad aap  apne memory card ko card reader me dal kar computer se connect kijiye . 

Lekin ek bat bata du agar aapka deleted photo aur videos   memory card me nahi tha , matalab ki phone memory me thi ,  to  USB cable ke jariye phone ko computer se connect kar dijiyye .

Ab aap asoftech software ko open kijiye . waha aapko jis ki bhi   recovery karni hai , usse select kijiye .  ab aapke mobile ki scanning suru ho jayegi . kuch time baad aapko aapki sabhi video aur photo computer me dikhenge . aap  jise chahe usse select karke apne photo  aur video ko recover kar skte hai.

Important  Note :-  agar apke mobile me virus ho , to shayad  aapka data recover na bhi ho , kyu ki virus aapke mobile ka data delete bhi kar skta hai .

Haina kitna simple , ab bhi apne Mobile Me Deleted Photo Ko Recover kar skte hai . aap iss post ko apne friends ke sath share karna na bhule , aur  agar aapko   koi  problem  aaye to comment  karke jarur puchiyega .

No comments:

Post a Comment

Please Comment Your Questions, Queries or Suggestions