Search This Website

6 May 2020

YouTube se Paise Kaise Kamaye ?

YouTube se Paise Kaise Kamaye ? 

youtube se paise kamane ke 8 tarike
youtube se paise kamane ke 8 tarike 











Namaskaar Dosto JobsGujarat.in Par Apka Bahut Bahut Swagat Hai Dosto aj hum baat karenge ki youtube se paise kaise kamaye agar ap internet chalate ho aur jio 4g ane ke baad ap youtube bhi istemaal karne lage hai to fir apne ye TITLE "youtube se paise kaise kamaye" jarur suna hoga
Because internet par bahut sare earning ke tareeke hai  but mostly usme fraud aur cheating jyada hoti hai  aise me youtube ek safe or better option hai 
Internet se paise kamamne ke liye Youtube , Blogging ,Affiliate Marketing , Aur Kuch hi Trusted Or safe source hain
Lekin aj huim sirf  baat karenge ki youtube se paise kaise kamaye aur iski poori jankari bhi denge 

Youtube Kya hai ?


Is question ka answer ki youtube kya hai iska answer to koi chota bacha bhi de dega kyunki ajkal laghbagh har koiyoutube ka istemaal karta hai fir bhi apko kuch basic informnation ke liye bata deta hun


Youtube kya hai aur Youtube ka Founder Kaun hain ?


YouTube ek Video Sharing Social Platform hai jise 2014 me PAYPAL ke 3 employees Steve Chen Jawed Karim Chad Hurley ne milkar banya tha jise baad me Google Company ne kharid liya

Koi bhi person jo youtube par video dalta hai use you tuber kahte hain

Youtuber youtube par video upload karta hai aur video dalkar paisa kamata hai
Sunne me asan hai ki video banaya aur paise kama liye lekin ye itna asan to nhi hai but namumkin bhi nahi hai
Agar me apni Baat Karun To Me bhi ek youtuber hun Aur Mera bhi ek Youtube channel hai jis par 15K+ subscribershain aur me usse earning bhi karta hun
Is video me ap meri first  Youtube earning dekh sakte hai ki youtube se first payment kitna aata hai



To aj me apko poori jankari dunga ki youtube se paise kaise kamaye or kitne tareeko se ap youtube se paise kama sakte hain

Koi bhi Person jo Youtube Par video upload karna aur paise kamana chahta hai to use pahle to apna
Youtube channel banana hoga
Agar Ap nhi jante ki youtube channel kaise banate hai To ap is Article ko padhkar jan payenge ki

 Dosto youtube par channel banana to asan hai lekin use customize me problem aa sakti hain specially agar ap new hai youtube par to apko thodi si problem ho sakti hain but Ap ( Youtube channel kaise banate hain ) article ko padhkar Apne poore channel ko customize kar sakte hain

Me maan kar chalta hun ki ap ne apna youtube channelbana liya hai Aur ap apne apne channel ko ready kar liya hai video upload karne ke liye

Agar apko janna hai ki Youtube par video kaise upload karte hai to ap ye article padh sakte hai
Youtube Par Video kaise Dale [full guide]
is me  maine bataya hai ki youtube par video kaise dalte hai aur sabhi tools ki poori jankari di hai to apko ye article jarur padhana chahiye
Dosto Agar Apne apna youtube channel bana liya hai to apko ek category bhi decide karna hota hai ki ap apne youtube channel par kis tarah ki video dalte hai 
Ap category apne passion ko dekhkar apne interest ke base par decide kare na ki earning ke base par

Agar ap koi aisi category par apna channel bana lete hai jisme apka interest nhi hai to apki video banane me man nhi lagega aur ap irregular rahenge aur apko us categoryke bare me jyada knowledge nhi hai top ap youtube par earning bhi nahi kar payenge

Is liye ap koi bhi category select karte hai ek time me baad ap us category se bhi accha earning kar sakte hain

Youtube Par bahut sari categories available hai jinme koi bhi youtuber apni videos banankar daal sakta hai

you tube category list

Science & technology : Youtube par technology ki videos tutorials par sabse jyada earning ki category mani jati hai
Beauty products wali category par bhi thik thak earning ki jati Hai
Grooming category par earning kam hoti hai lekin aisa bilkul nhi hai ki grooming category ke youtubers earning nhi karte hai vo bhi acchi khasi earning karte hai lekin youtube ke alawa dusre sources se Earning karte Hai 

              Maine Is article me Sabhi Tareeke Bataye Hai [ Full Information] To shuru se akhiri tak article padhte Rahiye 

youtube se paise kis tarah se kamay jate hai ?

Hum jan chuke hai ki youtube  channel kaise banaya jata hai sath hi sath hum ye bhi jan chuke hai ki youtube channel par videos kis tarah se dali jati hai

Ab hum ye janege ki youtube se kamami kaise ki jayeyani youtube se paise kamane ke Tareeke
To apko ye janna hoga ki youtube se paise kamane ke liye apke chanel par monitization on hona chahiye
Agar ap ke channel par monitization on nhi hai to ap kamai nhi kar payenge

Agar ap janna chahte hai ki monitization kya hoti hai to maine youtube channel kaise bante hai is article me monitization ke bare me poori jankari di hai

youtube par monetization kab Hogi ?

Jab apke channel par 4000 Hours ka watchtime aur 1000 subscribers complete ho jate hai to apke channel par monitization enable ho jata hai aur ap youtube monitization program ka hissa ban sakte hai

Agar apke channel par monitization on ho gayi hai iska  matlkab yeh hai ki ap youtube ke ad network adsense se paise kama sakte hai 


youtube se paise kaise kamate hain ?



  1. Adsense
  2. Sponsorships ,Paid Promotion, Paid reviews
  3. Affiliate Marketing
  4. Your Own courses
  5. Memberships
  6. Super chat
  7. Merchandise
  8. Offline classes

Yahi Kuch Best Ways hai jinki Help se ap Youtube se earning kar sakte hain

1: Adsense

Google Adsense kya hai ?

Google Adsense ek ad network hai jo apke youtube videos par ad dikhata hai aur apko badle me kuch earningdeta hai Iski bhi jankari maine apko youtube channel kaise banate hai  is article me details me di hai Aur sath hi sath yeh bhi bata hai hai ki youtube channel ko kis tarah se adsense se joda jata hain

Shuruvati daur me Jab apke channel par kam subcribers hote hai < 5K yani 5000 Subscvribers se kam subscribers hote hai to apka youtube se earning ka main source adsense hi hota hai 

Adsense ki help se ap earning kar sakte hai Youtube apko  Alag Alag tarah ki ad dikhane ki suvidha deta hai
YouTube se Paise Kaise Kamaye - youtube video ads
Youtube Videos Ads
Display Ads  :Yeh ads dektop par dikhayi padta hai jisme video ke side me ek ad ata hai

Overlay ads : Overlay ad bhi desktop par ata hai jisme video me side aur video ke niche kuch hisse me ad show hota hai

Sponsored Ads : Sponored Ad kisi brand ya company ka promtional Ad Dikhata hai

Skippable Video Ads : Skippable Ads me Ad ko kuch second dekhne ke baad skip kiya ja sakta hai

Non Skippable Ads : Ye ads sabse jyada earning wale ad hote hai in ad ko user skip nhi kar sakta hai
Ye Monitization tab  apke channel par tabhi showe honge jab ap ke channel par monitizartion enable hoga

Youtube paise kaise deta hai ?

Dosto jaise ki maine pahle bataya ki Ap adsense ki madad se earning karte hai To Earning sari Apko Adsenseki taraf se milengi Apke channel par monitization on ho jane par ap apne youtube channel par jyada se jyada quality video upload kare
Youtube par agar ap sahi tarike se video upload nhi karte hai to ap ki mehnat yuhi bekar ho jayegi kuyunki

                          Youtube par 1 min me  300 hours ki  videos upload hoti hai
aur youtube ko sabhi video ko mauka dena hota hai to ap apne channel ko kaise age la paoge isliye Quality Video aur acchi audio ke sath  youtube par video upload karen  

Jab ap videos dalte hai aur koi bhi viewer apki video ko dekhta hai to us video me ads ayenge aur apko ad ke impression se kuch earning hoti hai

Impression : yani kitne logo ne apke youtube videos par ad ko dekha ye bilkul jaroori nhi ki apke video par har bar ad aye jab bhi viewer apki videos ko dekhega

Clicks :  youtube earning ka main part ads ki click se hota hai youtube par jab bhi koi ad par click kar deta hai to isse apko revenue milta hai

Revenue : Revenue apki earning hoti hai jo apke videos par ayi hui ads ki earning se apko milti hain

Youtube ki earning kaise dekhe ?

Youtube ki earning ko ap apmne  youtube dashboard ya final earning ap apne adsesne me jakar check kar sakte hai

Yha par ap dekh payenge ki apko kitni earning hui hai aur youtube every month me 11-12 date ke andar apke pichle month ki  ki earning send kar deta hai ye earning ap ke adsense ke dashboard me dikh jayegi

Youtube earning Bank account me kaise milegi ?

Youtube se earning ki ho ya kisi bhi or source se salaryword sunkar hum sabhi ko bahut khushi hoti hai ki apne mehnat ki or uska resukt ab apko mil raha hai 
Apke Google adsense me jis month 100$ ho jayenge us month ki 21-22 date par apki earning apke  bank me Transfer kar di jati hai Aur ye payment apko apke bank account me kab milegi ye apke bank par depend karta hai isme max 15 days tak ka samay lag sakta hai 

To is Tarah se to ap apne bank account me Youtube se earning kar sakte hain 
Dosto apko bata dun ki jab apke youtube channel par ek large amount me audience ho jate hain Aur apke channel par 50K- se 100K ke as pas subscribers ho jate hai to ap apne chahnel se 100$ se bhi jyada earning kar sakte hain vo bhi per month  ye earning apke videos , category , video time length aur bahut sari factors par depend kar sakti hai ho skata hai ki ap 300-400$ tak kama le ya fir ap 150-200$ hi kama paye per months

Dosto adsense se earning youtube se earning ka first source or monthly salary ke jaisa hota hai Lekin ap Youtube Par ap sirf adsense Tak simit nahi Rahte hai Jaise jaise ap Grow karenge waise waise ap apne channel par Earning ko bada Payenge 

2: Sponsorship ,Paid Promotion, Paid reviews

Spponsorship Paid promotion and paid reviews ye youtube earning ke best method hai jaha se ap acchi khashi earning kar sakte hain aur bade youtubers ki earning ka main part yahi se hota hai
Lekin starting me apko Sponshorship , paid reviews and promotion ke offers kam hi milte hai 
Agar Ap Brands deals Pana chahte hai To sabse pahle apko apne channel par quality content upload karna hoga aur sath hi sath apkle channel par usi tarah ka audience bhi hona chahiye 
Example se samjhate hai jaise ap ka ek youtube channel hai aur us par ap kisi app ya software reviews ke video upload karte hai pahle se to apke channel ki audience bhi waisi hi built ho jayergi jo software and apps ke reviews aur tutorial dekhna chahati ho to apke channel par jab acchi audience , views , subcribers ho jayenge to apko deals aur companies ke khud hi mails ayenge aur apko software ya apps ke review karne ke alag se paise bhi milenge 
Lekin ye reviews starting me kam hi milte hain waise reviws ke liye koi limit nhi hai lekin at least apke channel par 1K yani 1000 subscribers to hone hi chahiye starting me kuch reviews aisi bhi hote hain jo apko Free of cost review karne ke liye kahenge
Agar Ap paid promotions , reviews and sponsorshipschahate hai to ap ko khud kuch nhi karna hai bus ap apne youtube channel par focus kariye quality content upload kijiye , audience ke sath honest rahiye unhe dhoka mat diiye aur jab apka channel grow ho jayega 100K subscribers + To mails khud hi ayenge and apko 50$ se 500$ tak ke Deals khud hi milenge Aur Ap bargaining bhi jarur kar sakte hain

3:Affiliate Marketing

Affiliate Marketing ek bahut accha way hai jiske through ap acchi khasi earning kar sakte hai but Affiliate earning karne ke liye apke pas views aur subscribers jyada hone ke sath sath logo ka bharosa bhi hona chahiye ki vo apke recommended products ko buy kare 
Aj kafi sare youtube channel jo ki Product reviews karte hai ye jaruri nhi ki ap tech category me hi affiliate marketing kar sakte ho Ap kisi bhi categoery se ho ap us type ke product logo ko buy karne ke liye kah sakte ho aur log products ko buy karte hai to apko unse kuch earning hogi 
Jaise ap Tv Ya kisi smartphone ya kisi electronic items ka video me review karte hai to ap video ke  niche description me us product ka Affiliate link link de sakte hai aur logo ko kharidne ke liye kah sakte ho
Usi tarah agar ap Beauty ya kisi cream , powder ya etc ka review karte hai to ap un products ka link bhi de sakte hai Isliye affiliate links Apki earning ko badhane me kafi help karti hain

Affiliate Products sell karne ke liye Amazon Aur flipkartbest Platform ha jaha se ap easily affiliate account bana sakte hai aur affiliate account bana kar products ki affiliate link share karke earning kar sakte hai 
Jaruri nahi ki apki audience Youtube par hi Ho Ap apne channel ka Fb Page , Groups, Instagram account , twitter account aur bhi social media accounts bana sakte hain Aur affiliate links waha dekar bhi ap earning kar sakte hain

4:Your Own courses

Ye depend karta hai ki apka channel kis category par hai Agar Ap apne channel par kuch information kuch tutorials sikhate hai to ap apne Paid video ya audio courses bhi de sakte ho Aur sath hi sath Ap  Apne Ebooks , Services ya Aur koi bhi information jo ap FREE nhi de sakte use ap Paid course bana kar sell kar sakte ho

Agar Ap Youtube Par active ho to Apko Pata hoga kuch bade youtube creators jside Technical sagar ka Hacking course , We make Creators ka Youtube Millionaire Course , Dr Vivek Bindra ka Business Leapdership programs jaise Paid courses Launch kiye hue hai
Aur ye Youtubers Alag AlagTareeke se in courses se Earning kar sakte hain

5:Youtube Memberships

Ye Youtube ka Membership plan New feature hai Aur sirf 100K aur unse upar subscribers wale channels ko mil ta hai jisme Youtube viewers kuch paid memberships le sakte hai jisme us youtuber ki taraf se Custom Stickers ya emoji milta hai jab bhi ap unke chanel par comment karenge to apka comment highlighted rahega  aur us youtubers ke aur se kuch special services apko mil jati hai membership ki min price 159 Rs /month hai To kafi sare Fans Aur jo apko support karna chahte hai Memberships lete hai aur ap usse Acchi earning bhi kar skate hain

 6:Super chat

Super chat bhi ek youtube ka feature hai jo Live streaming ke waqt apko extra earning provide karta hai
Aise channels jo live streaming jyada karte hai jaise Games Play wale channels aur dusre Live streaming wale channels par superchat earning jyada milti hai
Superchat me jab youtuber live jata hai to ap live comment kar skate hai aur Koi bhi viewer apko superchat ki help se kuch Rs Send kar sakta hai Aur isse us viewer ka comment highlight rahta hai 
Gaming Youtubers Superchat se kafi accha earning karte hain

7:Merchandise

Agar apke  channel par apki audience Apko bahut Jyada Support karti hai To ap  Apne channel ka Merchandisebanwa skate hain Jaha se koi person apke channel ka T shirt , Caps , mug Ya kuch bhi product buy karta hai to apko usse earning hoti hai bahut sari Private Companies Youtube Merchanduse Provide karati hai  Aur youtuber unse contact karke apni merchandise banwa kar sell ka sakte hai
Kafi sare bade Youtubers apni merchandise sell karkle earning bhi kar rahen hain

8:Ofline classes , Seminar , webinar

Ye Tareeeka bhi category wise depend karta hai Aur sirf kuch teachers , ya Agar Ap kuch Informatiion ya sikhate hao apne audience ko to hi ap is tarah se earning kar sakte hai
Jaise maan Lete hai ki apka Web Development Tutorials ka youtube channel hai aur ap apne youtube chanenl par website development , Digital marketing , and programing adi sikhate hai to ap Apne Paid Webinar yani Live Paid classes Rakh Sakte hai jisme koi bhi viewers apse kuch Puch skata hai and ya fir ap kahin par paid seminar/Offline classes  rakh sakte hai jiska Entry Ticket Price Rakh skate hai aur earning kar skate hain

To asha Karta hun apko Ye Article YouTube se Paise Kaise Kamaye Jarur pasand aya hoga
Dosto waise to youtube earning ke sources ki limit nhi hai lekin maine yahan apko 8 points share kiye hai
Agar ap bhi koi earning ka source share karna chahte hai to niche comment karke ap koi bhi Source share kar sakte hai jisse koi bhi youtuber paisa kama sake

Dosto Email dekar hamare Newsletter ko subscribe Jarur Karen Aur Latest Updates pane ke liye Notification ko on kar le

Article pasand aya to share kar motivate jarur karen
Sharing is Caring  

No comments:

Post a Comment

Please Comment Your Questions, Queries or Suggestions